Happy Dussehra











HEADLINES:  

Dussehra Poem

Dussehra or Dassera is a popular festival which is the celebration of the triumph of good over the evil. Lord Rama has won the battle against demon Ravana on this day. So Dussehra is also referred by another name Vijaydashmi.It is celebrated on the tenth day after Navarathri.The story of Ramayana is re-enacted throughout the country in Ram Lilas with pomp and show. Huge effigies of Ravana, his brother and son are burnt. These are of hundred feet high and filled with fire works.

Aa Gya Pawan Dusshera

Phir Hume Sandesh Dene,
Aa Gya Pawan Dusshera

Tum Sankaton ka ho ghanera
Ho na aakul man ye mera
Sankato me tam chatenge
Hoga phir sundar savera
Dharya ka tu le sahara!

Dwesh kitna bhi ho gehra
Ho na kalushit man ye tera
Phir ye tute dil milenge
hoga jab premi chitera
Ban shami ka pat pyara!

Satya ho jitna pratarit
Par na ho sakta parajit
Roop uska aur nikhra
Janta hai vishwa sara
Ban vijaya swarnim sitara!

Hoga tabhi Dusshera

Kissa ek purana bacchon
Lanka me tha Ravan,
Raja ek Mahaabhimani,
Kampta jisse kan-kan.
Us Abhimani Ravan ne tha
Sabko khub sataya
Ramchandra jab aaya van me,
Sita ko har laya.

Jhilmil Jhilmil Sone ki
Lanka pairo pe jhukti
Aur kal ki gati bhi bhai
Uske aage rukti.

Sundar thi lanka, lanka me
Sona hi sona tha
Lekin punya nahi papon ka
Bhara hua dona tha

Tabhi raam aaye bandar, bhalu
Ki sena lekar
Sadh nishana sacchai ka
Teer chalaya paina
Lobh paap ki Lanka dhoo dhoo
Jal kar rakh ho gai!

Diye Jale tabhi dharti par
Angeenat Lakho lakh!
Isliye to aaj dhoom hai,
Ravan aaj mara tha.

kate sheesh das das bari
Utara bhar dhara ka
Lekin socho , ki Rawan
Phir na chhal kar paye
Koi abhimani na phir
Kala raj chalaye!

Tabhi hogi sacchi diwali
Hoga tabhi Dusshera
Jagmag Jagmag hoga jab
Phir sacchai ka chehra!